Sunna hai kal wo din phir charay ga
Ummedon say dil phir bharay ga
Mangu ya na mangu, yeh sochta hoon
Na milla jo manga, na mangu yeh sochta hoon
Phir jab daikhta hoon mai tairi rehmat ki aur
Tau sochon jaisay thami ho tu nay mairi daur
Yeh hi soch kar tujh say yeh hoon mangta
Ab tau kar day karam, tujh say shukar hoon mangta
Hanstay hain sab log, jau mujhay daikhtay hain
Daikh mairi baybassi, mairay kissay chairtay hain
Yeh na soch, kay mazaq maira bana rahay hain
Haqeeqat may tujh say taaluq pay ungli utha rahay hain
Tu bata day khuda, nahi tu rutha hua
Tairi rehmat ka daria nahi sukha hua
Mai tau hoon faqt tairy hukam ka muntazir
Na milla shukar, tau kar loon ka sabr
Mana log maira phir bhi mazaq urain gay
Mairay peechay say so bataain banain gay
Laikin tu na samajhna taira banday nay tujh ko bhula dia
Mai tau samjhoon ga tu nay ik karam aur farma dia
See loon ga hont, dil ko samjha doon ga
Yeh hi soch kay, ik din aur bita doon ga
Magar suna hai tu tau bayniaz hai
Sari duniya ka ik tu hi sardar hai
Poochu jau tujh say tau maula na bura manana
Bhar do jholi so kar sakon jag ka samna
Na takhtay shahi na aish o ishrat mangta
Tairay samandar say faqat ik qatra hoon mangta