Transforming Pakistan

It is a blog developed with a view to gather youth of Pakistan living at different parts of the world at one platform so that they share their part in transforming the current situation of Pakistan to ideological, developed, peaceful, recognised and prosperous Pakistan. I am Pakistani and I myself believe that it is possible but it requires lot more work to do. Don't leave your job, department or country, just contribute your thoughts, energy, enthusiasm, intellect, views and time to make this transformation easier for those who are already struggling and for yourself. Time is in your hands, don,t miss it. I need your suggestion on how we can change our current situation...

Sunday 21 October 2012

Intazaar




Sunna hai kal wo din phir charay ga
Ummedon say dil phir bharay ga
Mangu ya na mangu, yeh sochta hoon
Na milla jo manga, na mangu yeh sochta hoon
Phir jab daikhta hoon mai tairi rehmat ki aur
Tau sochon jaisay thami ho tu nay mairi daur
Yeh hi soch kar tujh say yeh hoon mangta
Ab tau kar day karam, tujh say shukar hoon mangta
Hanstay hain sab log, jau mujhay daikhtay hain
Daikh mairi baybassi, mairay kissay chairtay hain
Yeh na soch, kay mazaq maira bana rahay hain
Haqeeqat may tujh say taaluq pay ungli utha rahay hain
Tu bata day khuda, nahi tu rutha hua
Tairi rehmat ka daria nahi sukha hua
Mai tau hoon faqt tairy hukam ka muntazir
Na milla shukar, tau kar loon ka sabr
Mana log maira phir bhi mazaq urain gay
Mairay peechay say so bataain banain gay
Laikin tu na samajhna taira banday nay tujh ko bhula dia
Mai tau samjhoon ga tu nay ik karam aur farma dia
See loon ga hont, dil ko samjha doon ga
Yeh hi soch kay, ik din aur bita doon ga
Magar suna hai tu tau bayniaz hai
Sari duniya ka ik tu hi sardar hai
Poochu jau tujh say tau maula na bura manana
Bhar do jholi so kar sakon jag ka samna
Na takhtay shahi na aish o ishrat mangta
Tairay samandar say faqat ik qatra hoon mangta

Sunday 14 October 2012

Faryadi


Na rolna mujh ko, Kay rul gaya hoon
Haqeeqaton, Shubahaton mai ulajh gaya hoon
Jo socha tha, woh ho na saka
Jo chaha tha, woh paa na saka
Janay kyun ik tarap hai dil mai
Jaisay khud mai ulajh sa gaya hoon
Nahi, nahi, koi doosra nahi tha
Taira daman mai nay chora nahi tha
Jo poochay mujh say, maira aik hi uzar hai
Banda hoon faqt, mehdood mairi nazar hai
Mai daikhta hoon woh hi, jau too dikhata hai
Har kashti ko tu hi paar lagata hai 
Janay kis manjhdhar mai kho gaya hoon
Aisa lagta hai mai abdi neend so gaya hoon
Nikla tairi talash mai tha, par kia mai dhoond raha hoon
Jaisay apnay hi kaflay ko, khud loot raha hoon
Suna hai Tairi KUN say faislay jahanon kay hotay hain
Soockhay sehray bhi pal bhar mai sairab hotay hain 
Mai bhi sehra hoon, jisay us KUN ki talaash hai
Faqt ik tairay Isharay ka sawal hai
Tu na daikhay ga tau akhir kahan jaon ga
Issi umeed pay ghammon say ulajh jaon ga
Yeh bhi tairay hain, tu nay hi bhaijhay hain
Ik sabar hai, phir ussi ko azmaon ga
Par phir bhi akhri darkhuast hai mairi
Jo lagi ho koi buri baat mairi
Tau samajh laina kay ik gunahgar tha
Jissay apnay khuda pay bara naaz tha
Laikin usay ab bhi sirf tu hi qabool hai
Jo kia us nay bura, yeh us ki bhool hai
Kia karoon Ik khuda ko man chukka hoon
Ussi kay aagay sab hatyar daal chukka hoon
Jo ho tu khafa, tau kahan jaoon ga
Mai wo musafir hoon, jau palat k tairay hi paas aaon ga
Mana hain hazaron rastay, par manzil tau aik hai
Jau hoon tujh say door, par tu tau kareeb hai
Nahi kehta kay mujhay tu qainaat dai day
Ik mard e momin ki mujh ko safaat dai day

Tuesday 21 August 2012

Ihsas e Gunnah


Gunahgar hoon, Khata kar hoon
Mana kay samajh kar bhi anjaan hoon
Tu nay jo hai kaha, mai nay woh na suna
Tu mujhay rokta raha, aur mai karta gaya
Gunnahon ki rahon mai chalta gaya
Na socha kabhi hoon faraib may mai
Hoon ghira hua aik asaib may mai
Roz sochta tha, na karon ga phir woh gunnah
Par daikh gunnah ko, main na kabhi ruk saka
Woh tha shaitan, yah tha maira nakis iman
Mai nay khud  hai boya, jhannum ka saman
Janay kaisay khara ho jata hoon musalay par
Kay hoon gira hua parlay darjay par
Laikin sab hotay huay bhi ik ihsas hai
Maira rab har lamhay mairay paas hai
Ya rab hai sach kay gunnahgar hoon
Mana kay janta hoon, par lachaar hoon
Mat kar door mujhay khud say is tarhan
Kay sawan ko tarsoon mai barsaat may
Tairi KUN say agar hotay hain sab faislay
Kia jata hai jau kar day jau TU maaf mujhay
Zar, zameen, ran naheen mangta
Mai tau tujh say hoon apna rab mangta
Loota day woh banda jo kabhi tairay sath tha
Jis kay paas har lamhay taira ihsas tha
Jau chalta tha tujh ko tha tujhay sochta
Jis ko nazar aata that tu hi har jaga
Banda tau hai woh hi, par gunnah gar hai
Har lamha tairi rehmat ka talabgar hai
Taira gazab hai mujh pay yoon chaya hua
Jaisay mujh mai hai firon samaya hua
Nahin mai nai hoon woh jhoota khuda
Mai nay tau hai bus tairi bandagi ka hai dawa kia
Gar taira banda honay ki hai yeh hi saza
Tau mat cheenana muh say honsala maira
Woh ihsas, wo tarap jau mujh mai hai chuppi
Na laina mairay rab mujh say mairi bandagi
Ankhain hain nam, dil bhi ashkbar hai
Janay kyun tujh say doori ka ihsas hai
Ab tau aa ja, kay dil ko mai nay hai dho dia
In ansoon say is dil ko hain mai nay ghusal dia
Napak hon, kameen hon, aur gunahgar hoon
Taira asoolon ko torh kay, khud say naraaz hoon
Par mat moro apni rehmat kay talabgar hoon
Hoon banda hi taira gar sazawar hoon
Nahi chaiay hai mujh ko zameen o sama
Jab mujh say ho rotha maira rab e do jahan
Mat choro mujhay kay kidhar jaon ga
Aj khud say hi lar kar bhikar jaon ga
Roothay ho, tau mananay ka dhang bhi sikhla do
Is dunniay kay thukrai ko seenay say laga lo
Nahin kehta kay mairi chah ka hai nahin muqabla
Na yeh kahoon kay nahin taira ashiq koi mujh sa yahan
Laikin gar jhankay mairay dil mai tu zara
Is dil ki bunyadon mai hai tairay hi naam likha
So logo ko mai day doon is dil may agar jaga
Tairi bunyadon ko nahin kar saktay hain wo khokhla
Mat cheen mujh say mairay dil mai apni jaga
Wahad is dil pay rehnay day kabza maira
Han sawaro ga, nikharo ga is ki bunyad ko
Rakhoon ga ik din is may tairi yad ko
Is ihsas ko na cheeno ka kidhar jaoon ga
Zinday reh kay bhi warna mai mar jaoon ga