Gunahgar hoon, Khata kar hoon
Mana kay samajh kar bhi anjaan hoon
Tu nay jo hai kaha, mai nay woh na suna
Tu mujhay rokta raha, aur mai karta gaya
Gunnahon ki rahon mai chalta gaya
Na socha kabhi hoon faraib may mai
Hoon ghira hua aik asaib may mai
Roz sochta tha, na karon ga phir woh gunnah
Par daikh gunnah ko, main na kabhi ruk saka
Woh tha shaitan, yah tha maira nakis iman
Mai nay khud hai
boya, jhannum ka saman
Janay kaisay khara ho jata hoon musalay par
Kay hoon gira hua parlay darjay par
Laikin sab hotay huay bhi ik ihsas hai
Maira rab har lamhay mairay paas hai
Ya rab hai sach kay gunnahgar hoon
Mana kay janta hoon, par lachaar hoon
Mat kar door mujhay khud say is tarhan
Kay sawan ko tarsoon mai barsaat may
Tairi KUN say agar hotay hain sab faislay
Kia jata hai jau kar day jau TU maaf mujhay
Zar, zameen, ran naheen mangta
Mai tau tujh say hoon apna rab mangta
Loota day woh banda jo kabhi tairay sath tha
Jis kay paas har lamhay taira ihsas tha
Jau chalta tha tujh ko tha tujhay sochta
Jis ko nazar aata that tu hi har jaga
Banda tau hai woh hi, par gunnah gar hai
Har lamha tairi rehmat ka talabgar hai
Taira gazab hai mujh pay yoon chaya hua
Jaisay mujh mai hai firon samaya hua
Nahin mai nai hoon woh jhoota khuda
Mai nay tau hai bus tairi bandagi ka hai dawa kia
Gar taira banda honay ki hai yeh hi saza
Tau mat cheenana muh say honsala maira
Woh ihsas, wo tarap jau mujh mai hai chuppi
Na laina mairay rab mujh say mairi bandagi
Ankhain hain nam, dil bhi ashkbar hai
Janay kyun tujh say doori ka ihsas hai
Ab tau aa ja, kay dil ko mai nay hai dho dia
In ansoon say is dil ko hain mai nay ghusal dia
Napak hon, kameen hon, aur gunahgar hoon
Taira asoolon ko torh kay, khud say naraaz hoon
Par mat moro apni rehmat kay talabgar hoon
Hoon banda hi taira gar sazawar hoon
Nahi chaiay hai mujh ko zameen o sama
Jab mujh say ho rotha maira rab e do jahan
Mat choro mujhay kay kidhar jaon ga
Aj khud say hi lar kar bhikar jaon ga
Roothay ho, tau mananay ka dhang bhi sikhla do
Is dunniay kay thukrai ko seenay say laga lo
Nahin kehta kay mairi chah ka hai nahin muqabla
Na yeh kahoon kay nahin taira ashiq koi mujh sa yahan
Laikin gar jhankay mairay dil mai tu zara
Is dil ki bunyadon mai hai tairay hi naam likha
So logo ko mai day doon is dil may agar jaga
Tairi bunyadon ko nahin kar saktay hain wo khokhla
Mat cheen mujh say mairay dil mai apni jaga
Wahad is dil pay rehnay day kabza maira
Han sawaro ga, nikharo ga is ki bunyad ko
Rakhoon ga ik din is may tairi yad ko
Is ihsas ko na cheeno ka kidhar jaoon ga
Zinday reh kay bhi warna mai mar jaoon ga
No comments:
Post a Comment